mira ghurur tujhe kho ke haar maan gaya
main chot kha ke magar apni qadr jaan gaya
kahin ufuq na mila meri dasht-gardi ko
main teri dhun men bhari kaenat chhan gaya
khuda ke baad to be-intiha andhera hai
tiri talab men kahan tak na mera dhyan gaya
jabin pe bal bhi na aata ganva ke donon-jahan
jo tu chhina to main apni shikast maan gaya
badalte rang the teri umang ke ghammaz
tu mujh se bichhda to main tera raaz jaan gaya
khud apne aap se main shikva-sanj aaj bhi huun
‘nadim’ yuun to mujhe ik jahan maan gaya
Leave a Reply