Qalam Ho Tegh Ho Tesha Ki Dhaal Mat Chhino

qalam ho teġh ho tesha ki Dhaal mat chhīno

kabhī kisī se kisī kā kamāl mat chhīno

ḳhushī isī meñ agar hai to har ḳhushī le lo

ye dukh ye dard ye huzn-o-malāl mat chhīno

isī ḳhalish ke sabab phir mujhe ubharnā hai

ḳhudā ke vāste ahd-e-zavāl mat chhīno

maiñ chhoḌ saktā nahīñ saath istaqāmat kā

mirī azaan se joshe-e-bilāl mat chhīno

abhī kitāb na chhīno tum in ke hāthoñ se

hamāre bachchoñ kā husn-o-jamāl mat chhīno

hamārī aañkh meñ yādoñ ke zaḳhm rahne do

hamāre haath se phūloñ kī Daal mat chhīno

abhī bujhāo na candle na cake kaaTo abhī

kuchh aur der mirā pichhlā saal mat chhīno

Leave a Comment