hamari ankhon men jalne vaale nuqush baaqi hain
kaan mausam ki garm aahat se chaunk uthte hain
bhigi mitti ka lams fan ko nikhar deta hai
nursery ke purane gamlon men parvarish ke tamam adab
khuub sajte hain
hava abhi tak hamare pedon ki sard shakhon men sarsarati hai
hont hilte hain
aur gaaek hamare vijdan ki shat aur athah lahron men bah nikalta hai
hamari maasum atmaon ki jot dharti pe jagti hai
hamari mehvar pe ghumti hai
kya hua jo hamari duniya men din ki nafrat
ya shab ka dhoka bhi hadisa hai hamare alfaz ka
na koi tarikh saaton ki
na koi virsa na koi tahzib
sab ghalat hai
mufahamat ke tamam bandhan bikhar chuke hain
hamari ankhen hi dekhti hain
aur koi avaz hamari tarikh ki hikayat se mavara hai
dimagh patthar uga rahe hain
Leave a Reply