mazaq-e-kavish-e-pinhan ab itna aam kya hoga
zaban par ham-safiron ki mira paigham kya hoga
kahe deta hai ḳhud aghaz hi anjam kya hoga
tiri atish-bayani se charagh-e-sham kya hoga
na ghabra baghban bulbul ki rasmi nauha-ḳhvani se
bhala in chand tinkon ka nasheman naam kya hoga
fida-e-kasmpursi huun nisar-e-talḳh-kami huun
mire azm-e-talab ka mudda.a aram kya hoga
fareb-andar-fareb atish-dar-atish ai ma.az-allah
ḳhuda na-karda fasl-e-gul tira anjam kya hoga
iradat ka bharam khul ja.ega bai.at na le saaqi
giraftar-e-salasil huun tavaf-e-jam kya hoga
ye kyuun samjha.un main ‘yaqub’ nok-e-nashtar-e-gham ko
jo baaqi rah gaya hai ḳhun-e-haft-andam kya hoga
Leave a Reply