mayusi ki barf paḌi thi lekin mausam sard na tha
aaj se pahle dil men yaro! itna ThanDa dard na tha
tanha.i ki bojhal raten pahle bhi to barsi thiin
zaḳhm nahin the itne qatil gham itna be-dard na tha
phirte hain ab rusva hote kal tak ye raftar na thi
shahr men thiin sau ku-e-malamat dil avara-gard na tha
marne par bhi lau deti thi divane ke dil ki aag
pathra.i thiin ankhen lekin phuul sa chehra zard na tha
harf-e-tasalli mauj-e-hava the mauj-e-hava se hota kya
siine ka patthar tha ‘qaisar’, gham daman ki gard na tha
Leave a Reply