mayus mere gham se na ho charagar kahin
ghabra ke kah na jaa.e ki be-maut mar kahin
dil ko bhi ab jala na de soz-e-jigar kahin
barbad ho na jaa.e mira ye bhi ghar kahin
vo aa.ine men mahv hain main un men mahv huun
meri nazar kahin hai to un ki nazar kahin
ai paikar-e-jamil tujhe yaad ho na ho
tujh se kabhi mile to the ham beshtar kahin
kya marhale hain rah-e-mohabbat ke marhale
dil par kahin bani hai miri jaan par kahin
Thahra ho ek pal bhi jahan karvan-e-dil
aaya na rah-e-shauq men aisa nagar kahin
manzil ki justuju men ye aalam hai al-aman
roke hue hain raah kahin rahbar kahin
ham ne baḌe ḳhulus-o-mohabbat se baat ki
jab bhi hamen mila hai koi mo’atabar kahin
shauq-e-safar to hai dil-e-pur-ishtiyaq ko
ho jaa.e muzmahil na ye vaqt-e-safar kahin
roz-e-azal vo dard-e-musalsal ata hua
dil ko sukun mil na saka umr bhar kahin
us ḳhanuman-ḳharab ka aalam na puchhiye
jis be-nava ki shaam kahin ho sahar kahin
har zarra pur-ziya tha tiri jalva-gah ka
meri hi thi ḳhata ki jhukaya na sar kahin
ai ham-safar ye azm-e-safar to baja sahi
dar-pesh ho na zahmat-e-tul-e-safar kahin
rahne de apne haal men mast ai saba na chheḌ
mera abhi ḳhayal kahin hai nazar kahin
bahr-e-ḳhuda na chheḌiye yusuf ka vaqi.a
be-abru hua na koi is qadar kahin
tasḳhir-e-ka.enat ke da.ave baja sahi
ham-rutba-e-ḳhuda bhi hua hai bashar kahin
ho teri baat baat men ik baat ai ‘kanval’
be-lutf be-maza na ho fikr-o-nazar kahin
Leave a Reply