hava chali to pasina ragon men baiTh gaya
nami ka zahr shajar ki jaḌon men baiTh gaya
udaas kyuun na hon ab tere qurb ki sub.hen
shab-e-firaq ka Dar sa dilon men baiTh gaya
abhi fazaon men barq-e-sada hi kaundi thi
zamana ḳhauf ke maare gharon men baiTh gaya
na kaam aa saki a.aza ki char-divari
makan badan ka zamin ki tahon men baiTh gaya
umid-o-bim ke saa.e hain jis taraf dekhun
main chalte chalte ye kin jangalon men baiTh gaya
hava ka samna patte gharib kya karte
khaḌa daraḳht bhi tez andhiyon men baiTh gaya
baras paḌin mire sar par siyahiyan ‘siddiq’
sahar ka rup-nagar zulmaton men baiTh gaya
Leave a Reply