ab shahr men aqdar-kushi ek hunar hai
fan jurm hai me.ar-kushi ek hunar hai
dushman se to kya haq-e-adavat ka gila jab
yaron ke liye yar-kushi ek hunar hai
kya kya hai nadamat unhen ab apni ravish par
kahte the jo kirdar-kushi ek hunar hai
jis daur men ho lafz ki hurmat ki tijarat
us daur men afkar-kushi ek hunar hai
ḳhatir se jo karna paḌi kaj-fahm ki ta.id
lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai
hairat hai ki vo fan ke parastar hain ‘anjum’
jin ke liye fankar-kushi ek hunar hai
Leave a Reply