• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Koi Rah Bhi Aasan Nahin Dekhne Mein

Ab Koi Rah Bhi Aasan Nahin Dekhne Mein

ab koi raah bhi asan nahin dekhne men

dekhte rahte hain aur dhyan nahin dekhne men

kitni viran nazar aati hai ta-hadd-e-nazar

yahi duniya ki jo viran nahin dekhne men

ḳhali tanha.i ḳhazanon se bhari rahti hai

aur yahan koi bhi saman nahin dekhne men

in dinon fursat-e-tabir kahan mumkin hai

in dinon ḳhvab bhi asan nahin dekhne men

vaise to hijr men us ko bhi nahin koi malal

vaise to main bhi pareshan nahin dekhne men

saare kamron men koi ret uḌati hai mujhe

ye mira ghar ki bayaban nahin dekhne men

ik nazar su-e-malamat bhi agar dekha karen

main samajhta huun ki nuqsan nahin dekhne men

us jagah bhi koi imkan nikal aata hai

jis jagah koi bhi imkan nahin dekhne men

itna hairan raha huun to bana huun aisa

main vo ik shaḳhs ki hairan nahin dekhne men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apni Taqdir Se Baghawat Ki

Kaam Koi to Kabhi Waqt Se Aage Kar Ja

sheikh-ibrahim-zauq

Nigah Ka War Tha dil Par Phadakne Jaan Lagi

poet

Kuchh Apne Kaam Nahin Aawe Jam-E-Jam Ki Kitab

Duniya Ko Ru-Shanas-E-Haqiqat Na Kar Sake

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet