hava men zor udhar sud-o-ziyan ka
idhar paivand-e-ḳhasta badban ka
daricha kholne se aar tum ko
hamen bhi Dar bahut hai shahr-e-jan ka
mire hisse men hai ḳhana-ḳharabi
tiri qismat men rasta kahkashan ka
chalo chal kar takan apni utaren
kahin rasta na kho jaa.e makan ka
kisi ke palle kya paḌti kahani
varaq gum hai hamari dastan ka
ye kis se mo.ajiza sarzad hua hai
har ik dar khul gaya hai jism-o-jan ka
saja.en ba-dil-e-na-ḳhvasta kyon
zaban-e-yar men taḳhta dukan ka
Leave a Reply