mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota
jab ghar hi banaya tha to darvaza bhi hota
ham sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil
jo zaḳhm fasurda tha tar-o-taza bhi hota
tum hote to me.araj-e-ḳhayalat bhi hoti
bikhre hue alfaz ka shiraza bhi hota
jazbat ki ankhon men chamakta koi sho.ala
ehsas ke ruḳhsar pe kuchh ghaza bhi hota
raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati
doshiza-e-imkan ka ḳhamyaza bhi hota
Leave a Reply