matlab muamalat ka kuchh pa gaya huun main
hans kar fareb-e-chashm-e-karam kha gaya huun main
bas intiha hai chhodiye bas rahne dijiye
khud apne e’timad se sharma gaya huun main
saaqi zara nigah mila kar to dekhna
kambakht hosh men to nahin aa gaya huun main
shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap
mahfil men is khayal se phir aa gaya huun main
kya ab hisab bhi tu mira lega hashr men
kya ye itaab kam hai yahan aa gaya huun main
main ishq huun mira bhala kya kaam daar se
vo shara thi jise vahan latka gaya huun main
nikla tha mai-kade se ki ab ghar chalun ‘adam’
ghabra ke su-e-mai-kada phir aa gaya huun main
Leave a Reply