har ek raste ka ham-safar raha huun main
tamam umr hi ashufta-sar raha huun main
qadam qadam pe vahan qurbaten thiin aur yahan
hujum-e-shahr se tanha guzar raha huun main
pukara jab mujhe tanha.i ne to yaad aaya
ki apne saath bahut muḳhtasar raha huun main
ye kaisi rif.aten a.ina-e-nigah men hain
kisi sitare pe jaise utar raha huun main
main raushni hi ki vahdaniyat ka qaa.il huun
mohabbaton hi ka paigham-bar raha huun main
main shab-parast nahin huun yahi ḳhata hai miri
ada-shanas-e-jamal-e-sahar raha huun main
yahan bas ek naya tajraba hua ‘farigh’
ki lamhe lamhe ko mahsus kar raha huun main
Leave a Reply