mata-e-be-baha aansu zamin men bo diya tha
palaT kar jab tira ghar main ne dekha ro diya tha
asa dar dast huun us din se bina.i nahin hai
sitara aankh men aaya tha main ne kho diya tha
zamane husn sarvat hech sab us ke muqabil
tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diya tha
paron ki arghavani chhanv phaila.i thi sar par
bahishti nahr ka paani musafir ko diya tha
bas ik qindil thi jalti hui apne lahu men
yahi nazrana dena tha haram men so diya tha
Leave a Reply