mat ghusse ke shoale suun jalte kuun jalati ja
tuk mehr ke paani suun tu aag bujhati ja
tujh chaal ki qimat suun dil niin hai mira vaqif
ai maan bhari chanchal tuk bhaav batati ja
is raat andhari men mat bhuul padun tujh suun
tuk paanv ke jhanjhar ki jhankar sunati ja
mujh dil ke kabutar kuun bandha hai tiri lat ne
ye kaam dharam ka hai tuk us ko chhudati ja
tujh mukh ki parastish men gai umr miri saari
ai but ki pujan-hari tuk us ko pujati ja
tujh ishq men jal jal kar sab tan kuun kiya kajal
ye raushni afza hai ankhiya ko lagati ja
tujh neh men dil jal jal jogi ki liya surat
yak baar use mohan chhati suun lagati ja
tujh ghar ki taraf sundar aata hai ‘vali’ daaem
mushtaq daras ka hai tuk dars dikhati ja
Leave a Reply