masti-e-rindana ham sairabi-e-mai-khana ham
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana ham
khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak
kar gae akhir gul-o-gulzar har virana ham
kya bala jabr-e-asiri hai ki azadi men bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-khana ham
raah men faujon ke pahre sar pe talvaron ki chhanv
aae hain zindan men bhi ba-shaukat-e-shahana ham
mitte mitte de gae ham zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana ham
ya jaga dete hain zarron ke dilon men mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana ham
qaid ho kar aur bhi zindan men udta hai khayal
raqs zanjiron men bhi karte hain azadana ham
Leave a Reply