masruf rahguzar pe chala ja raha tha main
phir kyuun laga ki sab se juda ja raha tha main
taamir-e-zat hi men lagi zindagi tamam
khaliq bana raha tha bana ja raha tha main
hasil thiin jin ko rahaten vo bhi fana hue
kyuun apni muflisi se dara ja raha tha main
dariya-e-zist ki yahi manzil thi akhiri
ik bahr-e-be-karan men gira ja raha tha main
samjha tha aaine men mira aks hi nahin
zahir tha aur sab se chhupa ja raha tha main
pahle to ku-e-yar ki phir daar ki talab
daldal men khvahishon ki dhansa ja raha tha main
main gard-e-rah tha magar eajaz dekhiye
har karvan ke saath uda ja raha tha main
rukne men dar ye tha ki tavazun bigad na jaae
‘adil’ isi guman men chala ja raha tha main
Leave a Reply