• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Be-Murawwat Bewafa Na-Mehrban Na-Ashna

Be-Murawwat Bewafa Na-Mehrban Na-Ashna

poet

be-muravvat bevafa na-mehrban na-ashna

jis ke ye ausaf koi us se ho kya ashna

tang ho saae se apne jis ko ho na-ashna

vo but-e-vahshi-e-tabiat kis ka hoga ashna

vaah vaah ai dil-bar-e-kaj-fahm yunhi chahiye

ham se ho na-ashna ghairon se hona ashna

bad-mizaji na-khushi azurdagi kis vaste

gar bure ham hain to ho jiye aur se ja ashna

ye sitam ye dard ye gham aur alam mujh par hua

kaash ki tujh se main ai zalim na hota ashna

ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bevafa

kis tavaqqo par bhala ho koi tera ashna

ashna kahne ko yuun to aap ke hovenge sau

par koi ai mehrban aisa na hoga ashna

khair-khvah o mukhlis o fidvi jo kuchh kahiye so huun

aib kya hai gar rahe khidmat men mujh sa ashna

ashnai ki tavaqqoa kis se ho ‘bedar’ phir

ho gaya begana jab aisa hi apna ashna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Der Mein so Kar uThne Wale

poet

Likhun Firaq Ki Gar Wardat Wasli Par

Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue

Safar Ko Phir Wahin Le Ja Rahe Hain

Abhi Tak Jo Nahin Dekhe Wo Manzar Dekh Lete Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet