• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-E-Na-Rasa Bhi Nahin

Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-E-Na-Rasa Bhi Nahin

ye gham nahin hai ki ab ah-e-na-rasa bhi nahin

ye kya hua ki mire lab pe iltija bhi nahin

sitam hai ab bhi umid-e-vafa pe jiita hai

vo kam-nasib ki sha.ista-e-jafa bhi nahin

nigah-e-naz-e-ibarat hai zindagi jis se

sharik-e-dard to kya dard-ashna bhi nahin

samajh raha huun amanat mata-e-sabr ko main

agarche ab nigah-e-sabr-e-azma bhi nahin

vo karvan-e-nishat-o-tarab kahan hamdam

jo DhunDhiye to kahin koi naqsh-e-pa bhi nahin

hai dil ke vaste sham-e-umid-o-mash.al-o-rah

vo ik nigah jise dil se vasta bhi nahin

koi tabassum-e-jan-baḳhsh ko tarasta hai

shahid-e-ishva-e-rangin ka ḳhun-baha bhi nahin

ye kyuun hai sho.ala-e-betab ki tarah muztar

miri nazar ki abhi lutf-ashna bhi nahin

ba-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mash.hur

vo ik fasana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin

tamam harf-o-hikayat miTa ga.i dil se

nigah-e-naz ne kahne ko kuchh kaha bhi nahin

vo kushta-e-karm-e-yar kya kare ki jise

ba-in tabahi-e-dil shikva-e-jafa bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

paD Gai Aap Par Nazar Hi to Hai

Hasin Hain Kis Qadar Manzar Mein KHud Ko Bhul Jata Hun

poet

Pas Rah Kar dekhna Tera Bada Arman Hai

poet

Kis Ki Sada Pe Kan Lagae Hue Hun Main

Yun Aane Wale Akele-Pan Ke Liye Main Yaaden Bana Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet