maslahat-khu kab hua hai aaina
sach hi sach bas bolta hai aaina
aaj mere doston ki khair ho
be-tarah mujh par mita hai aaina
ek chaukidar hai apna zamir
ik nigahban ban gaya hai aaina
ashna sirat ki khushbu se nahin
husn-e-zahir par fida hai aaina
khud-pasandi is qadar achchhi nahin
samne har dam dhara hai aaina
badla mausam mere chehre ka magar
phuul ban kar khil gaya hai aaina
tum se jab tark-e-taalluq kar liya
dil to dil mujh se khafa hai aaina
mujh se sargoshi si kar ke kaan men
mahv-e-hairat kar gaya hai aaina
kis tarah kar luun haqiqat men qubul
ik khalish si de gaya hai aina
jab bhi dekhun ru-ba-ru hai koi aur
jaise sazish kar raha hai aaina
baat dil ki ghaur se sunta hai ye
razdan mera bana hai aaina
tuut kar ‘rumi’ vo salim hi raha
mujh ko tukde kar gaya hai aaina
Leave a Reply