duur bargad ki ghani chhanv men khamosh o malul
jis jagah raat ke tarik kafan ke niche
maazi o haal gunahgar namazi ki tarah
apne amal pe ro lete hain chupke chupke
ek viran si masjid ka shikasta sa kalas
paas bahti hui naddi ko taka karta hai
aur tuuti hui divar pe chandol kabhi
giit phika sa koi chhed diya karta hai
gard-alud charaghon ko hava ke jhonke
roz mitti ki nai tah men daba jaate hain
aur jaate hue suraj ke vidai anfas
raushni aa ke darichon ki bujha jaate hain
hasrat-e-sham-o-sahar baith ke gumbad ke qarib
in pareshan duaon ko suna karti hai
jo tarasti hi rahin rang-e-asar ki khatir
aur tuuta hua dil thaam liya karti hai
ya ababil koi amad-e-sarma ke qarib
us ko maskan ke liye dhund liya karti hai
aur mehrab-e-shikasta men simat kar pahron
dastan sard mumalik ki kaha karti hai
ek budha gadha divar ke saae men kabhi
uungh leta hai zara baith ke jaate jaate
ya musafir koi aa jaata hai vo bhi dar kar
ek lamhe ko thahar jaata hai aate aate
farsh jarob-kashi kya hai samajhta hi nahin
kal-adam ho gaya tasbih ke danon ka nizam
taaq men shama ke aansu hain abhi tak baaqi
ab musalla hai na mimbar na muazzin na imaam
aa chuke sahab-e-aflak ke paigham o salam
koh o dar ab na sunenge vo sada-e-jibrail
ab kisi kaabe ki shayad na padegi buniyad
kho gai dasht-e-faramoshi men avaz-e-khalil
chand phiki si hansi hans ke guzar jaata hai
daal dete hain sitare dhuli chadar apni
is nigar-e-dil-e-yazdan ke janaze pe bas ik
chashm nam karti hai shabnam yahan aksar apni
ek maila sa akela sa fasurda sa diya
roz rasha-zada hathon se kaha karta hai
tum jalate ho kabhi aa ke bujhate bhi nahin
ek jalta hai magar ek bujha karta hai
tez naddi ki har ik mauj talatum-bar-dosh
chikh uthti hai vahin duur se faani faani
kal baha lungi tujhe tod ke sahil ki quyud
aur phir gumbad o minar bhi paani paani
Leave a Reply