Marte Nahin Ab Ishq Mein Yun to Aatish-E-Furqat Ab Bhi Wahi Hai

marte nahīñ ab ishq meñ yuuñ to ātish-e-furqat ab bhī vahī hai

taur junūñ ke badle lekin soz-e-mohabbat ab bhī vahī hai

umr kī is manzil par bhī ham tujh par jaan nichhāvar kar deñ

go vo garmī ḳhuuñ meñ nahīñ hai dil meñ qayāmat ab bhī vahī hai

tum kyā jaano jiinā marnā ham ne kin shartoñ par sīkhā

aaj bhī aise log haiñ jin meñ shauq-e-shahādat ab bhī vahī hai

kaise kaise marhale guzre jin meñ us ne saath diyā thā

bhuul ga.e ham lekin us kī ham pe ināyat ab bhī vahī hai

kitne koh-e-girāñ kaaTe haiñ kitne sanam tarāshe ‘āzar’

shauq-e-zuhūr kī har patthar meñ raqsāñ vahshat ab bhī vahī hai

Leave a Comment