martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin
aap ki bazm men ham hon ye zaruri to nahin
vo to maqsum hi kuchh aur hua karte hain
sab ki taqdir men gham hon ye zaruri to nahin
yuun bhi divane sar-e-rah bhaTak sakte hain
aap ki zulf men ḳham hon ye zaruri to nahin
ashna muflis-o-nadar ki majburi se
zehn-e-arbab-e-karam hon ye zaruri to nahin
vo to kuchh raste maḳhsus hua karte hain
har jagah naqsh-e-qadam hon ye zaruri to nahin
chashm-e-saqi kare rah rah ke ishare ‘anvar’
aur phir hosh men ham hon ye zaruri to nahin
Leave a Reply