maraz ik taraf aur dava ik taraf
ḳhudaya hai meri sada ik taraf
magar meri ankhon men donon charagh
dava ik taraf aur dua ik taraf
ḳhuda un ke hisse men manzil utaar
safar ik taraf rasta ik taraf
muqaddar pe donon ke pahre hain kya
mehan ik taraf aur sila ik taraf
naya mai-kada hai chalan bhi naya
sharab ik taraf hai nasha ik taraf
ḳhuda mere qaabu men aa.e na rang
ki sang ik taraf hai hina ik taraf
aziyyat dava ko chiḌati hui
matab dar matab silsila ik taraf
mariz ik akela dava.en hazar
gharib ik taraf aghniya ik taraf
mire hal-e-dil ka kise hosh hai
hava ik taraf hai faza ik taraf
Leave a Reply