hamin par dhuup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi
daraḳht-e-mehrban koi kare saaya to ham par bhi
ayaan hoti chali jaati hain sab chehre ki tahriren
hui jaati hai na-kafi ḳhamoshi ki ye chadar bhi
badan ki raushni men jo na dekha ja saka ham se
usi shishe ke paikar men dhaḌakta tha vo patthar bhi
haqiqat se tasavvur tak safar mujh men kiya us ne
magar mujh tak nahin pahuncha vo itni duur chal kar bhi
koi musa-o-isa-o-mohammad ab na aa.ega
hamare na-tavan shanon pe hai kar-e-payambar bhi
Leave a Reply