maqam-e-hijr kahin imtihan se khali hai
kahin zamin bhi kisi asman se khali hai
nashat-e-gham men to dard-e-nihan talash na kar
nashat-e-gham kabhi dard-e-nihan se khali hai
uruj-e-gham mire soz-e-jigar se aa puchha
maqam-e-dil kahin soz-e-nihan se khali hai
khayal us ka main shayad samajh nahin paaya
mira khayal to ishq-e-butan se khali hai
ik aisi baat hi taskin-e-qalb bakhshe hai
‘nisar’ dil mira vahm-o-guman se khali hai
Leave a Reply