Manzil-E-Yar Be-Nishan Bhi Nahin

manzil-e-yār be-nishāñ bhī nahīñ

dil ho ġhāfil to rāz-dāñ bhī nahīñ

barq kyuuñ be-qarār hai itnā

ab to gulshan meñ āshiyāñ bhī nahīñ

ho nazar meñ agar haqīqat-e-husn

zindagī saada dāstāñ bhī nahīñ

vo jafāoñ pe sharmsār na hoñ

ab ye manzil mujhe garāñ bhī nahīñ

yaar kī justujū ko kyā kahiye

rā.egāñ bhī hai rā.egāñ bhī nahīñ

dil tak aa.e to vaj.h-e-taskīñ ho

vo nazar itnī mehrbāñ bhī nahīñ

allāh allāh surūr-e-yād-e-habīb

ab mujhe hijr kā gumāñ bhī nahīñ

lab tak aa jaa.e to qayāmat hai

āshiqī kār-e-be-fuġhāñ bhī nahīñ

azmat-e-husn ishq se hai ‘ra.īs’

sar nahīñ hai to āstāñ bhī nahīñ

Leave a Comment