makin huun aur hudud-e-makan nahin ma.alum
sunane baiTh gaya dastan nahin ma.alum
dil-e-hazin ko karam ki umiid karne de
abhi use tiri majburiyan nahin ma.alum
guzar rahi hai bas ik soz-o-karb paiham men
kahan jala tha mira ashiyan nahin ma.alum
sukun se muntazir-e-imtiyaz hai ab tak
miri jabin ko tira astan nahin ma.alum
kisi ko un ka pata kya bata.en ai ‘ali’
hamen to aap hi apna nishan nahin ma.alum
Leave a Reply