dard ki ḳhushbu se ye mahka raha
jab kabhi kamre men main tanha raha
umr ki naddi chaḌhi, utri, ga.i
jism ka sahra magar jalta raha
din ko tapti filon ki ret par
main to abraq ki tarah bikhra raha
raat bhar ik jism ki divar se
main calender ki tarah chipka raha
shab palang par hanpte saa.e rahe
ḳhvab darvaze khaḌa takta raha
yaad ki Dibbi men kyuun rakkho mujhe
main jali tiili huun, mujh men kya raha
Leave a Reply