• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Aaj Bhi

Aaj Bhi

asrarul-haq-majaz

main huun ‘majaz’ aaj bhi zamzama-e-sanj-o-naghma-khvan

shair-e-mahfil-e-vafa mutrib-e-bazm-e-dil-baran

aaj bhi khar-zar-e-gham khuld-e-barin mire liye

aaj bhi rah-guzar-e-ishq mere liye hai kahkashan

aaj bhi ga raha huun main saz-e-junun liye hue

soz-e-nihan se aaj bhi ruh-e-tapan hai dil-tapan

aaj bhi zindagi miri gharq-e-sharab-e-tund-o-tez

aaj bhi haath men mire jam-e-sharab-e-arghavan

aaj bhi hai rachi hui aaj bhi hai basi hui

mere nafas men khuld ki nuzhat-o-nikhat-e-javan

aaj bhi nukta-chin huun main khalvatiyan-e-khas ka

khalvatiyan-e-khas ka aaj bhi huun mizaj-dan

aaj bhi ashk-e-khun mira qashqa jabin-e-naz ka

aaj bhi khak-e-dil miri surma-e-chashm-e-gul-rukhan

aaj bhi dil ko hai mire daulat-e-agahi nasib

aaj bhi hai nazar miri arz-o-saman ki raz-dan

aaj bhi hai junun mira dair-o-haram pe khanda-zan

aaj bhi mujh se bad-havas dair-o-haram ke pasban

aaj bhi saaz se mire garmi-e-bazm-e-sar-kashi

aaj bhi atish-e-sukhan shoa.la-fishan sharar-fishan

aaj bhi hai likhi hui surkh huruf men ‘majaz’

daftar-e-shahr-e-yar men mere junun ki dastan

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

luTne Walon Ka Madad-Gar Nahin Hai Koi

Kabhi Jo Aankh Pe Gesu-E-Yar Hota Hai

Pyase honT Kinare Par Ruk Jate Hain

jaun-eliya

dil-E-Barbaad Ko Aabaad Kiya Hai Maine

Aas Jis Ki Jawan Hoti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet