• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chup baiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun

Chup baiTha Mein Akasr Sochta Rahta Hun

chup baiTha men akasr sochta rahta huun

aḳhir main kyuun itna tanha tanha huun

pahron jin ki jhiil men khoya rahta tha

un ankhon ki yaad men Duuba rahta huun

tum jo baten bhuul chuke ho muddat se

main to un men ab bhi uljha rahta huun

tum badlo to badlo apni raah magar

main to ek Dagar par chalta rahta huun

sada-pan kuchh neki hi ka naam nahin

dekhne men to main bhi sidha-sada huun

tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi

ya main hi anjan sada.en sunta huun

ghar ki divaron men yuun dil tang na ho

DhunDh mujhe main is ghar ka darvaza huun

jis ne pyaar se dekha us ke saath hua

sach puchho to main bhi ab tak bachcha huun

‘anjum’ main kyuun duniya par ilzam rakhun

ankhen hain to phir kyuun Thokar khata huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Yar Log

Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai

ahmad-mahfuz

Sar-Ba-Sar Paikar-e-Izhaar Mein Lata Hai Mujhe

Mere Wajud Ka Aaina Saf Usi Ne Kiya

Mein Sochta Hun Jise Aashna Bhi Hota Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet