makan-bhar ham ko virani bahut hai
magar ye dil ki sailani bahut hai
hamare paanv ulte hain so ham ko
palat jaane men asani bahut hai
sitare chor ankhon se na dekhen
zamin par meri nigarani bahut hai
abhi sukhi nahin mitti ki ankhen
abhi dariyaon men paani bahut hai
ajab si shart hai ye zindagi bhi
jo manvai hai kam maani bahut hai
zarurat hi nahin dushman ki ‘tabish’
mujhe meri tan-asani bahut hai
Leave a Reply