• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bahaaren Rang Lati Hain Chaman Aabaad Hota Hai

Bahaaren Rang Lati Hain Chaman Aabaad Hota Hai

baharen rang laati hain chaman abad hota hai

ki jab nazuk labon se husn ka irshad hota hai

hasinon ki adaon ke asar-andaz hote hi

kabhi dil shaad hota hai kabhi nashad hota hai

ijazat jab nahin milti use naghma-sara.i ki

to bulbul ki ḳhamoshi se chaman barbad hota hai

vo apni jaan ki baazi laga.e to laga.e kyon

ki naḳhra husn ka jis ke liye jallad hota hai

nigahon se paḌhi jaati hai tahrir-e-ruḳh-e-raushan

nigahon se ada-bini ka fan ijad hota hai

ada-e-husn bhi ik chashma-e-tahrik hai sahab

use apna le jo bhi bas vahi shah-zad hota hai

usi ko karna hoti hai alam ki tarjumani bhi

mire honTon pe jo bhi jumla-e-fariyad hota hai

kisi ko bhi yaqin hota nahin hai apni ankhon par

qafas men jab parinde ki jagah sayyad hota hai

usi par naaz karti hai hamesha haath ki rekha

ki jis ki muTThi men bhi virsa-e-ajdad hota hai

hamesha sar jhukata hai ‘jigar’ sahab ki dharti par

ki jaana jab bhi panchhi ka muradabad hota hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Bhi Ajab Qafila-E-Tishna-Laban Hai

Kya Adu Kya Dost Sab Ko Bha Gain Ruswaiyan

aadil-raza-mansoori

din Ke Sine Pe Sham Ka Patthar

Sufi

Karen Aah-O-Fughan Phoden-Phaphole Is Tarah dil Ke

ishrat-afreen

Calendar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet