majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte
ghar hi ja sakte the avara-e-shab, kya karte
ye to achchha kiya tanha.i ki aadat rakkhi
tab use chhoḌ diya hota to ab kya karte
raushni, rang, mahak, ta.ir-e-ḳhush-lahn, saba
tu na aata jo chaman men to ye sab kya karte
dil ka gham dil men liye lauT ga.e ham chup-chap
koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte
baat karne men hamen kaun si dushvari thi
us ki ankhon se taḳhatub tha so lab kya karte
kuchh kiya hota to phir zo.am bhi achchha lagta
ham ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte
dekh kar tujh ko sirhane tire bimar-e-junun
jan-ba-lab the, so hue ah-ba-lab, kya karte
tu ne divanon se munh moḌ liya, Thiik kiya
in ka kuchh Thiik nahin tha ki ye kab kya karte
jo suḳhan-saz churate hain mira tarz-e-suḳhan
un ka apna na koi taur, na Dhab, kya karte
yahi hona tha jo ‘irfan’ tire saath hua
munkir-e-‘mir’ bhala tera adab kiya karte
Leave a Reply