bahar aa.i gul-afshaniyon ke din aa.e
uThao saaz ghazal-ḳhvaniyon ke din aa.e
nigah-e-shauq ki gustaḳhiyon ka daur aaya
dil-e-ḳharab ki nadaniyon ke din aa.e
nigah-e-husn ḳharidariyon pe maa.il hai
mata-e-shauq ki arzaniyon ke din aa.e
mizaj-e-aql ki na-saziyon ka mausam hai
junun ki silsila-jambaniyon ke din aa.e
saron ne davat-e-ashuftagi ka qasd kiya
dilon men dard ki mehmaniyon ke din aa.e
charagh-e-lala-o-gul ki Tapak paḌi hain laven
chaman men phir sharer-afshaniyon ke din aa.e
bahar ba.is-e-jam.iyat-e-chaman na hui
shamim-e-gul ki pareshaniyon ke din aa.e
udhar chaman men zar-e-gul luTa idhar ‘taban’
hamari be-sar-o-samaniyon ke din aa.e
Leave a Reply