samajhna chahiye majburiyan ahl-e-chaman ko sabz belon ki
numu muhtaj hai jin ki hamesha ik sahare ki
darakhton ke tane divar phatak ya munderen hon
panapti hain saharon par to ye sarsabz rahti hain
sahare chhut jaaen gar
to phir jiine ki majburi
kisi nemul-badal ko dhund leti hai
vagarna un ki shadabi khizan ki nazr hoti hai
mohabbat uns chahat bhi inhin kamzor belon ke mushabah hain
unhen bhi ham-navaon ham-nashinon ke saharon ki zarurat hai
sahara chhut jaae
to unhen bhi zinda rahne ke liye
nemul-badal darkar hota hai
nahin to bin sahare dosti rishte marasim uns chahat aur taalluq
ki ye komal sabz belen sab khizan ki nazar hon
aur vaqt se pahle hi mar jaaen
Leave a Reply