main ne har gaam use avval o aḳhir jaana
lekin us ne mujhe lamhon ka musafir jaana
main to tha us ke chaman-zar-e-mohabbat ka asiir
lekin us ne mujhe har shaḳh ka taa.ir jaana
us ne iḳhlas ke maare hue divane ko
ek avara o badnam sa sha.er jaana
dar-haqiqat yahi e.azaz bahut hai ‘kausar’
do ghaḌi us ne hamen apna ba-zahir jaana
Leave a Reply