main zoaf se juun naqsh-e-qadam uth nahin sakta
baitha huun sar-e-khak pe jam uth nahin sakta
ai ashk-e-ravan saath le ab ah-e-jigar ko
ashiq kahin be-fauj-o-alam uth nahin sakta
saqf-e-falak-e-kohna men kya khaak lagaun
ai zoaf-e-dil is aah ka tham uth nahin sakta
sar maarka-e-ishq men asan nahin dena
gaade hai jahan shama qadam uth nahin sakta
hai jumbish-e-mizhgan ka kisi ke jo tasavvur
dil se khalish-e-khar-e-alam uth nahin sakta
dil par hai mire khema-e-har-abla asnad
kya kijiye ki ye lashkar-e-gham uth nahin sakta
har ja mutajalla hai vo bar parda-e-ghaflat
ai moatakif-e-dair-o-haram uth nahin sakta
yuun ashk zamin par hain ki manzil ko pahunch kar
juun qafila-e-mulk-e-adam uth nahin sakta
ro ro ke likha khat jo use main ne to bola
ik harf sar-e-kaghaz-e-nam uth nahin sakta
har dam lab-e-favvara se jaari ye sukhan hai
paani na zara jis men ho dam uth nahin sakta
main uth ke kidhar jaun thikana nahin koi
mera tire kuche se qadam uth nahin sakta
mehndi to sarasar nahin paanv men lagi hai
tu bahr-ayadat jo sanam uth nahin sakta
bimar tira surat-e-tasvir-e-nihali
bistar se tire sar ki qasam uth nahin sakta
main shah-savar aaj huun maidan-e-sukhan men
rustam ka mire aage qadam uth nahin sakta
kya neza hilavega koi ab ki kisi se
yaan tausan-e-rahvar-e-qalam uth nahin sakta
juun ghuncha ‘nasir’ us but-e-gul-ru ki jo hai yaad
yaan sar ho gareban se baham uth nahin sakta
Leave a Reply