• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Ye Nahin Kahti Ki Mujhe Yaad Kiya Kar

Main Ye Nahin Kahti Ki Mujhe Yaad Kiya Kar

main ye nahin kahti ki mujhe yaad kiya kar

chup-chap barasti hui barish ko suna kar

dastak mire darvaze pe mat aise diya kar

sau baar kaha hai ki hava dhire chala kar

kahta hai ye a.ina mujhe nazren chura kar

nam-dida mujhe dekh ke mat aise hansa kar

ho jaa.e na kuchh aur udasi men izafa

tu ḳhud se miri maan zara kam hi mila kar

sargoshi na kar aise hava kaan men mere

tu lahje men us ke na mira naam liya kar

jaari ho mire siine men sanson ka tasalsul

rakh haath mire Thahre hue qalb pe aa kar

phir dil men tire naam ki paḌti hain dhamalen

hoti hai miri ruuh bhi ḳhush ḳhaak uḌa kar

ghunghaT kabhi chehre se uThate hi nahin ho

milte ho kahin saare hijabat uTha kar

karta hai vo phir raqs sar-e-bazm musalsal

rakh dete ho zi-hosh ko divana bana kar

suraj ko bujha dete ho tum shaam se pahle

aur dil se ye kahte ho ki din-rat jala kar

lagta hai kabhi duur bahut duur ho mujh se

lagta hai ki chhu lungi kabhi haath baḌha kar

main chadar-e-tathir ka deti huun vasila

rakh lena mire aibon ko duniya se chhupa kar

auqat bhi miTTi hai tiri zaat bhi miTTi

tu ḳhaak hai mat ḳhaak pe itra ke chala kar

aa.ega bhala kaun tire pichhe ai pagal

mat rahon men ‘jina’ tu ThiThak kar yuun ruka kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nafas Nafas Ne uDain Hawaiyan Kya Kya

Rah-E-Justuju Mein bhaTak Gae to Kisi Se Koi Gila Nahin

Lahu Mein Kya Bataen Raushni Kaisi Mili Thi

Yun to Hai Sahl Har Ek Kaam Ka Aasan Hona

poet

Khwab Mein Aao Mere Rangin Khwabon Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet