dil ka khoj na paaya hargiz dekha khol jo qabron ko
jiite ji dhunde so paave khabar karo be-khabron ko
toshak baala posh razai hai bhule majnun barson tak
jab dikhlave zulf sajan ki ban men aavte abron ko
kafir nafas har ek ka tarsa zar kuun paaya bakhton siin
atish ki puuja men guzri umr tamam un gabron ko
mard jo aajiz ho tan man siin kahe khush-amad bavar kar
mohtaji ka khasa hai rubah kare hai babron ko
vaada chuuk phir aaya ‘naji’ dars ki khatir phadke mat
chhut gale tere ai zalim sabr kahan be-sabron ko
Leave a Reply