• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Ye Kis Ke Nam Likkhun Jo Alam Guzar Rahe Hain

Main Ye Kis Ke Nam Likkhun Jo Alam Guzar Rahe Hain

obaidullah-aleem

main ye kis ke naam likkhun jo alam guzar rahe hain

mire shahr jal rahe hain mire log mar rahe hain

koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho

vo hava-e-gulistan hai ki sabhi bikhar rahe hain

kabhi rahmaten thiin nazil isi khitta-e-zamin par

vahi khitta-e-zamin hai ki azaab utar rahe hain

vahi taeron ke jhurmut jo hava men jhulte the

vo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain

badi aarzu thi ham ko nae khvab dekhne ki

so ab apni zindagi men nae khvab bhar rahe hain

koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai

hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mumkin Nahin dawa Hai Is Aazar Ke Liye

afroz-rizvi

Azal Se Le Ke Abad Tak Charagh-e-Fani Hun

akhtar-ul-iman

Shisha Ka Aadmi

poet

Kaba Hai Agar Shaikh Ka Masjud-E-Khalaiq

Ilahi Kash Gham-E-Ishq Kaam Kar Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet