kab talak pivega tu tar-damanon se mil ke mul
ek dam ai ghuncha-lab ham se kabhi to khil ke khul
be-sar-o-bargon ko kya nisbat hai sair-e-bagh se
dagh-e-dil hain ham tahi-dastan-e-pa dar-gil ke gul
us ki jang-e-be-sabab ka hai taghaful hi ilaaj
aap dhela ho ke avega idhar dhal dhal ke dhul
zer-e-abru is tarah mizhgan nahin rahti mudam
sar pe mere juun rahe hai tegh us qatil ki tul
rabt kuchh bazm-e-mashaekh se nahin rindon ke taiin
kab liye ye mast saghar ke siva qulqul ki qul
ho sake to bakhiya o marham ka yaaro vaqt hai
jaan na jaave is tan-e-majruh men ghael ke ghul
ba-qad-e-kham-gashta huun rone se nit ke main kharab
mauj-e-dariya todte hain jis tarah pil pil ke pul
chille ki manind khinchun jab talak bar men na tang
kab mite hai us but-e-harjai-e-chanchal ki chul
daur men us zulf ke hai bas ki divanon ki dhuum
sunta huun charon taraf se main sada-e-ghul ke ghul
‘hasrat’ us ke daam men phansna muqaddar tha mira
the miri nazron men to pech-o-kham us kakul ke kul