• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Mujhko Rabt Bas-Ki Ghazalan-E-Ram Ke Sath

Hai Mujhko Rabt Bas-Ki Ghazalan-E-Ram Ke Sath

insha-allah-khan-insha

hai mujh ko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke saath

chaukun huun dekh saae ko apne qadam ke saath

hai zat-e-haq javahir o aghraz se bari

tashbih kya hai us ko vajud o adam ke saath

kya ain o mulk o vaza o izafat ka dakhl vaan

hai infial o fel mata kaif-o-kam ke saath

dekha main saath dhol ke suuli par un ka sar

fakhriyya vo jo phirte the tabl-o-alam ke saath

dekhi ye chaah un ki andhere kuen ke biich

phenka lapet kushte ko apne gulam ke saath

ku-e-butan se tauf-e-haram ko chale to ham

lekin kamal-e-hasrat o hirman o gham ke saath

thiin apni ankhen halqa-e-zanjir ki namat

paivasta hil rahi dar-e-baitus-sanam ke saath

kahte ho vuun se hoke idhar aao vuun chalen

kya khuub kyuun na daud padun aise dam ke saath

tum aur baat maano aji sab nazar men hai

danton tale zaban dabani qasam ke saath

ab chhed chhad ki ghazal ‘insha’ ik aur likh

hain laakh shokhiyan tiri nok-e-qalam ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Wajd-E-Ahl-E-Kamal Hai Kuchh Aur

Bebasi Se Hath Apne Malne Wale Hum Nahin

Tabar-O-Tesha-O-Tasir Kahan Se Laen

Na to Uslub Na Andaz Giran Guzra Hai

poet

Sina To dhund Liya Muttasil Apna Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet