aise na bichhaḌ ankhon se ashkon ki tarah tu
aa lauT ke aa phir tiri yadon ki tarah tu
sukh-chain mira luTne vaale aa kisi din
mujh ko bhi chura le miri nindon ki tarah tu
chaha tha bahut main ne bhula duun tujhe lekin
jaata hi nahin dil se umidon ki tarah tu
munh pher ke jaana hai tujhe ja tiri marzi
mat ruuTh magar mujh se nasibon ki tarah tu
Leave a Reply