main tere saath chal nahin sakta
tu ravayya badal nahin sakta
aa.e darvesh gar jalali men
phir ye suraj nikal nahin sakta
raaz miTTi men hai koi shayad
dhuup men peḌ jal nahin sakta
das ko paale hai baap tanha hi
das se kyon baap pal nahin sakta
jis men shamil ho suud ki lazzat
main vo luqma nigal nahin sakta
tere aansu fuzul hain ‘tariq’
ab ye patthar pighal nahin sakta
Leave a Reply