hava ka talḳh lahja hai charaghon ki pareshani
chamakte chand suraj hain sitaron ki pareshani
kinaron men bhi shayad Duub jaane ki talab hogi
pata kaise karenge ham kinaron ki pareshani
mire pyare hamari zindagi men aur bahut gham hain
mohabbat hijr ye to hain hazaron ki pareshani
ye sahra bhi to shayad dhuup hi se tilmilata hai
samundar duur kar in regzaron ki pareshani
na jaane kaise kaise naqsh-e-pa ko sar pe lete hain
ye koi kam nahin hai yaar patton ki pareshani
vahi bachche ki jis ko bolna chalna sikhaya tha
vahi bachche hi kyuun hain aaj maaon ki pareshani
daraḳhton ko bhi shayad hijraton ke rang chakhne hain
Tahalti Daliyan kahti hain peḌon ki pareshani
hava.en chal rahi hain un ko rukna ho kahin shayad
pata karte chalo kya hai havaon ki pareshani
Leave a Reply