use bhī lauT kar aanā nahīñ thā
vo jis ke sāmne rasta nahīñ thā
usī ke ḳhvāb dekhe jā rahe the
jise ham ne kabhī dekhā nahīñ thā
hamārā zāhir-o-bātin mukammal
kisī ke ishq meñ Duubā nahīñ thā
isī ummīd par zinda the ab tak
masīhā lauT kar aayā nahīñ thā
saroñ kī bhiiḌ thī hadd-e-nazar tak
magar un meñ koī zinda nahīñ thā
ghane peḌoñ kī majbūrī to dekho
kahīñ bhī duur tak saaya nahīñ thā