
Maqsood Wafa
kunj-e-tanha.i men rakkha hua rah jaata hai
dil ki siine men uchhalta hua rah jaata hai
jumbish-e-chashm se duniya hi badal jaati hai
aur miri aankh men socha hua rah jaata hai
ab to aisa hai ki ankhon ko agar khol bhi luun
dil kisi ḳhvab men lipTa hua rah jaata hai
likh to lete hain tira naam ba-sad shauq magar
kya kabhi ret pe likkha hua rah jaata hai
kuchh chala jaata hai dariyaon ke hamrah ye dil
kuchh rag-e-jan men hi bahta hua rah jaata hai
us ki yadon ko dil-o-jan se ruḳhsat karna
kaam aisa hai ki hota hua rah jaata hai
main to lauT aata huun har shaam ko ghar men lekin
dil kisi raah pe chalta hua rah jaata hai

Leave a Reply