• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mutalea Ki Hawas Hai Kitab De Jao

Mutalea Ki Hawas Hai Kitab De Jao

mutale.a ki havas hai kitab de jaao

hamare ahd ko saleh nisab de jaao

shahpar-e-ilm ki jholi kamal se ḳhali

ḳhuda ke vaste koi ḳhitab de jaao

kabhi to hurmat-e-sairabi-e-nazar khul jaa.e

samundaron ko tilism-e-saraab de jaao

haqiqaton ko tamasha nahin bana.unga

munafiqat ki hava hai naqab de jaao

tumhari aḳhiri ummid ban ke lauTunga

vida ki ghaḌiyon ka hisab de jaao

qadim raushniyon se unhen shikayat hai

to shapparon ko naya aftab de jaao

koi to mashghala-e-na-murad jaari ho

zaban ko badriqa-e-inqilab de jaao

isi men ḳhanda-labi shan-e-be-niyazi hai

har ek tiir ka sakit javab de jaao

safar-e-nasib hai ‘rahi’ misal-e-bad-e-ravan

jahat-e-shash ki zamam o rikab de jaao

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Apni Ruswai Tere Nam Ka Charcha dekhun

ameeta-parsuram-meeta

Hazaron Manzilen Phir Bhi Meri Manzil Hai Tu Hi Tu

Manzil Ke KHwab Dekhte Hain Panw kaT Ke

KHanqah Mein Sufi Munh Chhupae baiTha Hai

etibar-sajid

Chhote Chhote Kai Be-Faiz Mafadat Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet