mashaqqat ka ḳhazana mangta hai
miri mehnat zamana mangta hai
har ik lamha dil-e-avara-fitrat
masafat ka ḳhazana mangta hai
muqaddar se jise manga tha main ne
use mujh se zamana mangta hai
ajab pagal hai mere man ka panchhi
qafas men ashiyana mangta hai
hamen har aan amad-e-hijrat
hamara ab-o-dana mangta hai
sitam ye hai ki ham tishna-labon se
sitamgar abyana mangta hai
hamare shahr ka mard-e-subuk-sar
kulah-e-ḳhusravana mangta hai
mira har ik munafiq yaar mujh se
ḳhulus-e-dostana mangta he
Leave a Reply